Ab Puch - Lyrics



Pucha sawal maine khud se haan
Kitne baar kya sab sahi kar raha hu
Jo hona hai woh hokar rahega
To phir kahe ko dar raha hu

Dheere dheere zimmedaari aane lagi
To maine dekh ki ab toh main khud se sudhar ra hu
Dosti yaari mazemaari mein chadhne laga tha
Ab main utar raha hu.. Badalna hai sab kuch
Yeh thaan liya tha haan maine sach much

Jo bhi kehte the kya tu kamayega
Ye sab tu karke aaja beta ab puch

Ab puch.. Ab puch..

Haan ab puchh mujhe main bolun ye shuruaat hai
Gaana record ho rela hai aur ho rela raat hai
Sab sale soche yeh kaise likh pa raha hai
Itni sari baatein.. Mujhe kaafi daante gharwale
Uske bina hum ye kabhi nahin kar paate
Diss game mein mar dalte sab log ko tadpaake
Studio mein kaafi din kaam kiya maza aara ghar aake

Kar aankhein upar aaj ghum raha car mein
Pehle leke scooter aas paas bahut shooter
Udta kabutar haan maze liya maine bina fame ke bhi
Laguri se leke saanp seedhi ludo game ke bhi
Pehan ke bhi ghuma hun main shaktiman ke kapde
Bachpan se ultar tha pagal se ladke pe bhadke
Kuch log kyunki ladka ye khud ladke
Baate kar ra chad ke upar toh sab sadke reh gaye

Hum toh bas keh gaye baaki sab beh gaye
Laalach mein paise ke kagaz mein
Magaz mein lalach na kabhi main ghoosne diya
Mehnat kiya maine jam ke aur
Mujhe beta usne diya chappar faad ke

Ab puch.. Ab puch..

Koyi ni puche jab tak unche na ho jao zindagi mein
Kuch hai bas daulat hai fasele gandagi mein
Aise soch waale khud ko pehle sahi jagah pe pahuncha le
Dimaag inka sauchalay aisha soch socha nahin kabhi main
Sabka bhala socha haan aage badha tabhi main
Abhi main wahaan pe ni jahaan pe tha pehle
Aayle sab yahan pe akele ko jayege akele

Thakele na banke jeena hath pair hai khoon paseena
Baha ke lado taqleefon se jaga ke dekho kitne log
Taqleefon ke bhi wo sapno ke aur daude
Killa rakhe thokte haan tode
Izzat nahin kamaayega to nahin denge yeh

Kayko fode kayko tode kisko kaye ko nichode
Aisa koyi aayega kya jo insaano ko jode
Mauka chhode tab jaake dimaag daude
Aise kitne log hai jo jaag kar bhi so rahe
Uth jao..

Ab puch.. Ab puch..

Insaan ke aankh mein khauf dekha
Sach dekh ke karta andekha
Sabne baith ke fun dekh apni bhalai pe
Mann behka hai sabka
Duniya khatam kabka ho chuka hai
Log nahin sun rahe rab ka

Sabko apni padi hai kon kisko de raha fatka
Sirf maze laine mein bhatka zindagi mein hai atka
Dimaag mein kachra bhara hai
Lagale jhaadu katka kyun fokat ka
Khane ki aadat hai insaano pe laanat hai
Galat hote dekhne ki inki aadat hai
Yahan soch bahut choti aur lambe imaarat hai
Kale paise ko gora karne ko rakhte daawat hai

Khulke baat karo mann ki baat
Yahan beta sabko izjat hai khulke bol!

Ab puch.. Ab puch..

Pucha sawal maine khud se haan
Kitne baar kya sab sahi kar raha hu
Jo hona hai woh hokar rahega
To phir kahe ko dar raha hu

Dheere dheere zimmedaari aane lagi
To maine dekh ki ab toh main khud se sudhar ra hu
Dosti yaari mazemaari mein chadhne laga tha
Ab main utar raha hu.. Badalna hai sab kuch
Yeh thaan liya tha haan maine sach much

Jo bhi kehte the kya tu kamayega
Ye sab tu karke aaja beta ab puch

Ab puch.. Ab puch..

Emiway bantai!
Maloom hai na!
Ha ha ha.. Peace out!


AB PUCH


Singer Emiway
Lyricist Emiway
Music 6LACK, T-Pain One Way Instrumental