Saari Ki Saari 2.0 - Lyrics



Door hoke bhi paas mere ho
Sapnon se aage ab tum
Haqikat ban chuke ho
Door hoke bhi paas mere ho
Sapnon se aage ab tum
Haqikat ban chuke ho

Yeh dard hain jo tere
Tu karde unko mere
Meri har dua mein tu
Par haqikat mein kahan

Saari ki saari meri hai tu
Tujhko kabhi na main baatun
Haara dil haara tujhpe main aise
Behoshi ke aalam hon jaise

Saari ki saari meri hai tu
Tujhko kabhi na main baatun
Haara dil haara tujhpe main aise
Behoshi ke aalam hon jaise

Yaadein meri aayein jab bhi
Soch lena kareeb hoon main
Khwaab mere aayein jab bhi
Palkon ke neeche hi hoon main

Yeh dard hain jo tere
Tu karde unko mere
Meri har duaa mein tu
Par haqikat mein kahan

Saari ki saari teri hoon main
Kabhi door tujhse na jaaun
Chaahe lage arrson aane mein mujhe
Phir door tujhse na jaaun

Saari ki saari meri hai tu
Tujhko kabhi na main baatun
Haara dil haara tujhpe main aise
Behoshi ke aalam hon jaise


 


SAARI KI SAARI 2.0


Singer Darshan Raval and Asees Kaur
Lyricist Darshan Raval
Music Lijo George